Manzar Naqvi

na koi shab badalti hai na koi din badalta hai

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
na koī shab badaltī hai na koī din badaltā hai
lahū zulmat meñ jab bole nayā sūraj nikaltā hai
koī dasht-e-balā ho yā koī bhī reg-e-sahrā ho
jahāñ ham eḌiyāñ ragḌeñ vahāñ chashma ubaltā hai
gumāñ kā zahr piite ho yaqīñ kā shahd bhī chakkho
isī ke zā.iqe se maut kā nashsha badaltā hai
usī ke saath chaltā hai koī ummīd kā jugnū
ki jis ke dil meñ bhī koī charāġh-e-ishq jaltā hai
ye manzar bārhā dekhā ki har ik vaqt kā jābir
lahū kī raushnī meñ aa ke apnī aañkh maltā hai
Top Urdushayar.com