dayār-e-ishq meñ aate kabhū rutoñ ke liye
bhaTakte phirte ho kyoñ tum mahūratoñ ke liye
na-jāne kaun-se lamhoñ ke intizār meñ ho
zarā bhī vaqt nahīñ hai kudūratoñ ke liye
kisī kisī ko hai ma.alūm dard andar kā
ki ham to hañste rahe ḳhūb-sūratoñ ke liye
bahut haiñ chāhne vaale ghamanD rakhte ho
hameñ bhī chāhā thā sab ne zarūratoñ ke liye
hamāre chehre pe kuchh ḳhāl-e-naqsh haiñ 'manzar'
bahut zarūrī haiñ āyāt sūratoñ ke liye