ik tabassum kā e'tibār kiyā
aql ne sādgī se pyaar kiyā
asl se vāhima tarāshā aur
phir usī vāhime ko yaar kiyā
dekhte ho hamārī zūd-hisī
chashm-e-āhū ne dil shikār kiyā
dil pe jaa.ez tirā ijāra thā
tū ne kis ḳhauf se farār kiyā
ab koī justujū nahīñ bhātī
yuuñ tirī justujū ne ḳhvār kiyā
us kī chāhat ajiib thī jis ne
mere bujhne kā intizār kiyā
shukr parvardigār us ne mujhe
merī hastī kā ġham-gusār kiyā
'mīr'-sāhib ko muñh dikhānā thā
maz.hab-e-ishq iḳhtiyār kiyā
ye ġhazal kyā kahī ki phir 'jauhar'
māh-pāra ko be-qarār kiyā