Manzar Naqvi

dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
dil ke vīrāne meñ kuchh phuul tamannā ke khile
ham bujhe log tire baaġh meñ aa jā ke khile
mausam-e-ishq kī bārish meñ nahā.e itnā
ham kisī chashm-e-tasavvur meñ bhī murjhā ke khile
aarzū hai mire marqad pe uge band kalī
tū jab aa.e to tire shauq meñ lahrā ke khule
dasht meñ shor ḳhamoshī kā sunā hai maiñ ne
aable paañv ke so.e hue ghabrā ke khule
mausam-e-dard kī āñdhī meñ tirī yaad aa.ī
ham to hijrat meñ bhī manzar tujhe chamkā ke khule
Top Urdushayar.com