Manzar Naqvi

kuchh batao to sahi ab ke tamasha kya hai

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
kuchh batāo to sahī ab ke tamāshā kyā hai
hoñT par taale lage sab ke tamāshā kyā hai
dil ke ik moḌ pe rahtā hai tamannā kā hujūm
jaane vaale to ga.e kab ke tamāshā kyā hai
zulm Dhaao yā banā Daalo mohabbat kā safīr
ham nahīñ rahte kahīñ dab ke tamāshā kyā hai
jis kī ḳhāmoshī se niklā hai sahar kā sūraj
ham musāfir haiñ usī shab ke tamāshā kyā hai
rañg maddham haiñ magar pyaar kī ḳhushbū na ga.ī
phuul taaza haiñ tirī chhab ke tamāshā kyā hai
dard ke saaz pe ham ne bhī ġhazal-ḳhvānī kī
giit likkhe haiñ tire lab ke tamāshā kyā hai
tum to duniyā ho badalnā hai vatīra terā
ham kahāñ bande tere Dhab ke tamāshā kyā hai
sirf tum hī to bulandī pe nahīñ ho taaro
ham bhī 'manzar' haiñ usī rab ke tamāshā kyā hai
Top Urdushayar.com