Manzar Naqvi

dil ki KHatir KHud ko manzar rog lagana paD jata hai

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
dil kī ḳhātir ḳhud ko 'manzar' rog lagānā paḌ jaatā hai
ghar ke andar shor agar ho bāhar jaanā paḌ jaatā hai
niiñd se pahle jhilmil karte aa jaate haiñ ḳhvāb-e-mujassam
so jā.ūñ to jo bhī dekhūñ ḳhvāb bhulānā paḌ jaatā hai
shahr ke bārah darvāze haiñ ek jharokā hai ḳhushbū kā
sab par terā naam likhā hai ye samjhānā paḌ jaatā hai
pahle-pahal to zabt ke mausam kar jaate haiñ apnā saaya
baad meñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ haal sunānā paḌ jaatā hai
soch sako to itnā socho patthar lauT ke aa sakte haiñ
ek purānā qaul sahī lekin dohrānā paḌ jaatā hai
yāroñ kī fihrist bane to ḳhālī satreñ bhī rakh lenā
'manzar' dushman ko bhī ik din yaar banānā paḌ jaatā hai
Top Urdushayar.com