ik arīza hai dil-e-mushtāq meñ rakkhā huā
āftāb-e-ishq hai āfāq meñ rakkhā huā
zindagī kā zā.iqa mujh ko tavātur se milā
zahr meñ rakhā huā tiryāq meñ rakkhā huā
nafratoñ ke sab navishte us ne azbar kar liye
hai mohabbat kā sahīfa taaq meñ rakhā huā
balva-e-bātil meñ haq kī ḳhāmushī kā saath do
ye bhī nukta hai mire mīsāq meñ rakkhā huā
raakh uḌtī dekh kar mujh se gurezāñ kyoñ hue
ek sho.ala hai abhī chaqmāq meñ rakkhā huā
maiñ ne dekhā merā qātil mubtalā-e-ḳhauf hai
sar mirā thā jis ghaḌī itbāq meñ rakkhā huā
lau na maddham hogī 'manzar' bujh na pā.egā kabhī
ye diyā hai sīna-e-ushshāq meñ rakkhā huā