Manzar Naqvi

hunar-wari ko na shoala na rakh dagh bana

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
hunar-varī ko na sho.ala na raakh daaġh banā
jo dil meñ lau hai use sher meñ charāġh banā
vahīñ se ishq-e-musalsal se aa.egī ḳhushbū
alag-thalag hī sahī koī apnā baaġh banā
parinde baiThe hue the shajar ke pahlū meñ
ki shor-o-ġhul kā sabab ek ġhol-e-zāġh banā
banā rahā huuñ maiñ ik naqsh terī chāhat kā
kabhī to dil ye banā hai kabhī dimāġh banā
usī ke naam kī taḳhtī ne rahnumā.ī kī
vahī to gum-shuda 'manzar' kā ik surāġh banā
Top Urdushayar.com