Manzar Naqvi

tumne dekha hai kabhi dil ye hamara TuTa

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
tum ne dekhā hai kabhī dil ye hamārā TuuTā
dekhne aatā hai har shaam sitārā TuuTā
reg-e-sāhil pe kisī naam kā aañsū Tapkā
mauj-e-betāb se dariyā kā kinārā TuuTā
dil kī ik samt banāyā thā koī shīsh-mahal
ġham kī āñdhī meñ magar saare kā saarā TuuTā
tez raftār safar se to gurezāñ hī rahe
ham kisī yaad meñ gum the ki ishārā TuuTā
ham to samjhe the mohabbat meñ baḌī tāqat hai
ye bharam bhī to sar-e-husn hamārā TuuTā
ek mazbūt ta.alluq hai shikasta 'manzar'
ḳhud ko barbād kiyā us ko sañvārā TuuTā
Top Urdushayar.com