āsmānoñ se aa.e hue nuur the rashk-e-mahtāb the
vo to bāġh-e-vafā ke ajab phuul the ḳhushbu-e-ḳhvāb the
maiñ ne dekhā sunā husn kā vāqi.a jab paḌhā to kahā
vo kitāb-e-mohabbat kī āyāt the ishq kā baab the
un daraḳhtoñ ke pīchhe kahīñ maiñ bhī thā ik shagūfa khilā
kuchh parinde shanāsā tabī.at ke the jo ki nāyāb the
pattī pattī kī sūrat the bikhre hue gul hasīñ baaġh ke
surḳh āñdhī chalī hijr lāhaq huā phir bhī shādāb the
dard se māvarā ishq kā kārvāñ shauq-e-'manzar' rahā
husn hairat meñ hai shal hue hī nahīñ kaise a.asāb the