Jauhar Abbas

faqat KHudi se jise pyar hai agar hai bhi

Jauhar Abbas

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
faqat ḳhudī se jise pyaar hai agar hai bhī
hameñ usī se sarokār hai agar hai bhī
vo be-misāl jo takmīl kar sake merī
jahān ḳhvāb ke us paar hai agar hai bhī
bhare jahāñ meñ sitāroñ meñ sab zamānoñ meñ
bas ek tū mirā me.aar hai agar hai bhī
ab aur beach meñ haa.il nahīñ hai koī hijāb
bas ek parda-e-pindār hai agar hai bhī
hamāre sher se mat muñh phirā ki apne paas
yahī salīqa-e-iz.hār hai agar hai bhī
janāb-e-shāh taġhāful to kyā dil-e-bekas
isī sazā kā sazā-vār hai agar hai bhī
Top Urdushayar.com