lahū meñ tar hai zamāne kā intiḳhāb vajūd
salīb-e-vaqt pe aayā hai kāmyāb vajūd
hasad kī aag meñ jalte raho to jalte raho
chaman kī ḳhaak meñ hogā mirā gulāb vajūd
vajūd-e-ḳhāk hī to ḳhaak kī amānat hai
tumhārā ḳhauf rahegā mirā hijāb vajūd
ye TūTtā nahīñ jhuktā nahīñ badaltā nahīñ
tumhāre saare savāloñ kā hai javāb vajūd
tumhāre din meñ mirā naam hī to sūraj hai
tumhārī raat meñ 'manzar' hai māhtāb vajūd