Manzar Naqvi

raat mein chand se baaten karna haule haule

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
raat meñ chāñd se bāteñ karnā haule haule
aañkh ke raste dil meñ utarnā haule haule
titlī phuul havā aur ḳhushbū raat aur jugnū
jhuum ke saaz bajā.e jharnā haule haule
dhaḌkan dhaḌkan raqs kiyā hai aks liyā hai
album yaad kī dekh sañvarnā haule haule
mausam phir tabdīl huā hai tez havā hai
galī se us kī aaj guzarnā haule haule
tum ne sach meñ jhuuT milāyā phir uljhāyā
apnī baat se aap mukarnā haule haule
miTTī meñ jab zor bahut hai shor bahut hai
prem ke baaġh meñ jā ke bikharnā haule haule
dasht se jab sūraj guzrā thā ye 'manzar' thā
dard kā ret pe aaheñ bharnā haule haule
Top Urdushayar.com