tujhe rab kahe koī vahgurū tū kahīñ ḳhudā kahīñ raam hai
ye haiñ ek naam kī barkateñ hameñ naam lene se kaam hai
tirī ma.arifat kī sharāb meñ vo surūr-o-kaif-e-davām hai
mai-e-talḳh meñ bhalā kyā maza mai-e-talḳh piinā harām hai
hai harām kyā to halāl kyā ye hamāre dil pe hai munhasir
jise chāhe dil to halāl hai jo na chāhe dil to harām hai
mire dil meñ terī hī yaad hai tū basā huā hai ḳhayāl meñ
hai zabāñ pe terī hī guftugū mire lab pe terā hī naam hai
vo kisī bhī qaum kā bhaa.ī ho karo koshisheñ ki bhalā.ī ho
kisī baat pe na laḌā.ī ho yahī ambiyā kā payām hai
tirī bārgāh-e-niyāz meñ pa.e sajda saiñkaḌoñ sar jhukeñ
tū rahīm hai tū karīm hai tū hī sab kā pesh-imām hai
vo faqīr ho ki amiir ho ki ho bādshāh mire ḳhudā
ho kisī kā koī bhī martaba yahāñ jo hai terā ġhulām hai
vo karīm hai vo rahīm hai vo fahīm hai vahī kibriyā
bas usī kī shaan aziim hai bas usī kā aalī maqām hai
ai 'nahīf' tujh ko maiñ kyā kahūñ tujhe dil se kaise bhulā sakūñ
tirī sīdhī saadī sī guftugū tirā sīdhā saadā kalām hai