Julius Naheef Dehlvi

hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

Julius Naheef Dehlvi

hindū hai sikh hai muslim hai īsā.ī hai jo bhī hai vo vatan kā nigahbān hai
ye na dekho ki vo kaam kartā hai kyā kaam kuchh bhī kare āḳhir insān hai
ye chhuā chhūt hai dushmanī kā sabab ham-vatan haiñ to phir hai ye tafrīq kyuuñ
ik barahman hai aur ek janjāt hai vo bhī insān hai vo bhī insān hai
hādī-e-dīn jitne bhī aa.e yahāñ saarī duniyā ko un kā ye paiġhām thā
nahīñ insāniyat jis meñ insāñ nahīñ jis meñ insāniyat hai vo insān hai
krishn aa.e yahāñ aa.e munjī yahāñ nānak aa.e yahāñ aa.e rusul-e-ḳhudā
sabhī ik dūsre se mohabbat kareñ saarī duniyā ko un kā ye farmān hai
ye chhuā-chhūt hai asl meñ pur-ḳhatar is kā apne vatan par huā ye asar
lākhoñ maare ga.e sirf is baat par jis ne aisā kiyā hai vo nādān hai
ye mazāhib to apnī jagah haiñ magar ai 'nahīf' is se insān hai be-ḳhabar
tū hai insān insān se pyaar kar yahī insān sachche kī pahchān hai
Top Urdushayar.com