Farhat Qadri

raaton ke andheron mein ye log ajab nikle

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
rātoñ ke añdheroñ meñ ye log ajab nikle
sab nām-o-nasab vaale be-nām-o-nasab nikle
ta.amīr-pasandī ne kuchh ziist par uksāyā
kuchh maut ke sāmāñ bhī jiine kā sab nikle
ye nuur ke saudāgar ḳhud nuur se aarī haiñ
gardūñ pe mah-o-anjum tanvīr-talab nikle
ye dasht ye sahrā sab vīrān haiñ barsoñ se
is samt bhī dīvāna takbīr ba-lab nikle
tahzīb kī bebākī aisī to na thī pahle
ham jab bhī kahīñ nikle tā-hadd-e-adab nikle
taskīñ ke liye ham ne jin se bhī guzārish kī
ham se bhī ziyāda vo taskīn-talab nikle
hastī kī masāfat meñ apnā jinheñ samjhā thā
jab vaqt paḌā 'farhat' vo mohr-ba-lab nikle
Top Urdushayar.com