Farhat Qadri

jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
jab har nazar ho ḳhud hī tajallī-numā-e-ġham
phir aadmī chhupā.e to kaise chhupā.e ġham
us vaqt tak milī na mujhe lazzat-e-hayāt
jab tak rahā zamāne meñ nā-āshnā-e-ġham
merī nigāh-e-shauq hī ġham kā sabab nahīñ
un kī nigāh-e-nāz bhī hai rahnumā-e-ġham
saudā-e-ishq dard-e-mohabbat jafā-e-dost
ham ne ḳhushī ke vāste kyā kyā uThā.e ġham
shāyad ye hai karishma fareb-e-nashāt kā
ghabrā ke aa ga.ī hai laboñ par duā-e-ġham
'farhat' kī har hañsī meñ haiñ aañsū chhupe hue
us kī ḳhushī bhī oḌhe hue hai ridā-e-ġham
Top Urdushayar.com