Jauhar Abbas

rashk karte hain shanasa bhi muqabil ki tarah

Jauhar Abbas

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
rashk karte haiñ shanāsā bhī muqābil kī tarah
kaash koī mire pahlū meñ rahe dil kī tarah
shāyad ik roz mujhe ḳhud se ḳhudā mil jaa.e
īstāda huuñ dar-e-zāt pe saa.il kī tarah
mushk-e-āhū se mahakne lagā dil kā jañgal
yaad ke dasht meñ utrā jo tū mahmil kī tarah
aise bezār mohabbat ke sitam kyā kahnā
pesh aa.e jo mire shauq se mushkil kī tarah
chashm-e-ibrat koī rakhtā to dikhāte us ko
shahr-e-jāñ meñ ka.ī āsār haiñ bābul kī tarah
jabki manzil ne tumheñ DhūñD liyā hai 'jauhar'
kyoñ bhaTakte ho ab āvāra-e-manzil kī tarah
Top Urdushayar.com