jitne log nazar aate haiñ sab ke sab begāne haiñ
aur vahī haiñ duur nazar se jo jāne-pahchāne haiñ
zanjīroñ kā bojh liye haiñ be-dīvār ke zindāñ meñ
phir bhī kuchh āvāz nahīñ hai kaise ye dīvāne haiñ
bach bach kar chalte haiñ har-dam shīshe kī dīvāroñ se
kaun kahe dīvāna un ko ye to sab farzāne haiñ
ḳhud hī bujhā dete haiñ sham.eñ raushniyoñ se ghabrā kar
is mahfil meñ ai logo kuchh aise bhī parvāne haiñ
sayyādoñ ne gul-chīnoñ ne gulshan ko tārāj kiyā
lekin ham dīvānoñ se ābād abhī vīrāne haiñ
un kā ġham hai apnā ġham hai apne parā.e sab kā ġham
shahr-e-vafā meñ phir bhī 'farhat' aur ka.ī ġham-ḳhāne haiñ