Farhat Qadri

wo khul kar mujhse milta bhi nahin hai

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
vo khul kar mujh se miltā bhī nahīñ hai
magar nafrat kā jazba bhī nahīñ hai
yahāñ kyuuñ bijliyāñ mañDlā rahī haiñ
yahāñ to ek tinkā bhī nahīñ hai
barahna sar maiñ sahrā meñ khaḌā huuñ
koī bādal kā TukḌā bhī nahīñ hai
chale aao mire vīrān dil tak
abhī itnā añdherā bhī nahīñ hai
samundar par hai kyuuñ haibat sī taarī
musāfir itnā pyāsā bhī nahīñ hai
masā.il ke ghane jañgal se yaaro
nikal jaane kā rasta bhī nahīñ hai
ajab māhaul hai gulshan kā 'farhat'
havā kā taaza jhoñkā bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com