shu.ūr-o-fikr kī tajdīd kā gumāñ to huā
chalo ki fan kā ufuq kisht-e-za.afrāñ to huā
balā se le uḌī mujh ko shuā-e-nūr-e-sahar
fasīl-e-shab se guzar kar maiñ be-karāñ to huā
ye kam nahīñ hai ki maiñ huuñ ḳhalāoñ kā hamrāz
mire vajūd meñ gum saarā āsmāñ to huā
ye Thiik hai ki fanā ho gayā vajūd us kā
magar vo qatra samundar kā rāz-dāñ to huā
tamām harf-o-navā meñ simaT gayā lekin
hamārā ġham bhī bikhar kar ġham-e-jahāñ to huā
junūn-e-shauq to maslūb ho gayā lekin
har ek lamha mah-o-sāl par garāñ to huā
hamāre saath hī bikhrā hamārī zaat kā karb
ye raaz lafzoñ ke ambār se ayaañ to huā
maiñ un ke sāmne ā.īna ban gayā 'farhat'
ḳhud apnī shakl pe un ko mirā gumāñ to huā