kabhī salīb kī sūrat kabhī hilālī thā
mirī nigāh meñ ik paikar-e-ḳhayālī thā
hamārī aap kī shāyad koī misāl nahīñ
jo mar gayā hai vahī aadmī misālī thā
ka.ī patañg kī sūrat ḳhalā meñ Duub gayā
vo jitnā tez thā itnā hī lā-ubālī thā
uḌā aur uḌ ke fazāoñ meñ ho gayā tahlīl
badan ke bojh se us kā vajūd ḳhālī thā
vo toḌ letā thā patte havā kī shāḳhoñ se
kamāl us kā haqīqat meñ be-kamālī thā
banā huā thā jo shahr-e-vafā kā shahzāda
vo maiñ nahīñ thā mirā zauq-e-ḳhush-jamālī thā
maiñ chhuptā phirtā thā shahroñ meñ kohsāroñ meñ
vo ek shaḳhs magar har jagah savālī thā
paḌā thā raah meñ jo sañg-e-mīl se aage
vo apne vaqt kā 'farhat' nahīñ ġhazālī thā