Farhat Qadri

raaz ubal paDe aaKHir aasman ke sinon se

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
raaz ubal paḌe āḳhir āsmāñ ke sīnoñ se
rabt is zamīñ ko hai aur bhī zamīnoñ se
kaun sā jahāñ hai ye kaise log haiñ is meñ
uThtā hai dhuāñ har dam dil ke ābgīnoñ se
har bashar hai fariyādī har taraf añdherā hai
mehr-o-mah nahīñ nikle shahr meñ mahīnoñ se
ik taraf zabānoñ par dostī ke na.are haiñ
ik taraf Tapaktā hai ḳhuun āstīnoñ se
muflisoñ kī bastī meñ vus.ateñ haiñ duniyā kī
aap utar ke dekheñ to apnī shah-nashīnoñ se
nā-ḳhudā kī himmat kā imtihān letī hai
varna kad nahīñ kuchh bhī mauj kī safīnoñ se
tajraboñ kī duniyā meñ ahl-e-ilm-o-hikmat ko
rif.ateñ milīñ 'farhat' fikr-o-fan ke zīnoñ se
Top Urdushayar.com