Farhat Qadri

tha pa-shikasta aankh magar dekhti to thi

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
thā pā-shikasta aañkh magar dekhtī to thī
maanā vo be-amal thā magar āgahī to thī
ilzām-e-nārasī se mubarrā nahīñ thī siip
lekin kisī ke shauq meñ Duubī huī to thī
maanā vo dasht-e-shauq meñ pyāsā hī mar gayā
ik jhiil justujū kī pas-e-tishnagī to thī
ehsās par muhīt the lafzoñ ke dā.ere
lafzoñ ke dā.eroñ meñ magar zindagī to thī
vīrāñ thā sehn-e-bāġh magar is qadar na thā
kone meñ sūkhe pattoñ kī mahfil jamī to thī
ġham duur kar ke aur bhī maflūj kar diyā
tanhā.iyoñ kī raat meñ dil-bastagī to thī
is ThanDī raat meñ to añdhere kā raaj hai
sūraj jalā rahā thā magar raushnī to thī
Top Urdushayar.com