tasvīr ke ḳhutūt vo shahkār bolte
sab naqsh-hā-e-san.at-e-me.amār bolte haiñ
ham shīsh ghar meñ apnā sarāpā na paḌh sake
hasrat rahī ki aa.ine ik baar bolte
tanhā.ī ko milā hai vo e.ajāz-e-dard hai
zindāñ ke dekhiye dar-o-dīvār bolte
kyā kyā na ghar jamāl ke ābād the yahāñ
kis dukh se shahr-e-vīrāñ ke āsār bolte
har baat meñ uThātā thā vo nuqta-e-gumāñ
ham kyā the koī mahram-e-asrār bolte
chup kartī terī be-dilī kyā 'azm' nāloñ ko
rahte jo ham ḳhamosh to ash.ār bolte