tire nisār na dekhī koī ḳhushī maiñ ne
ki ab to maut ko samjhā hai zindagī maiñ ne
ye dil meñ soch ke tauba bhī toḌ dī maiñ ne
na jaane kyā kahe saaqī agar na pī maiñ ne
koī balā mire sar par zarūr aa.egī
ki terī zulf-e-pareshāñ sañvār dī maiñ ne
sahar huī shab-e-va.ada kā iztirāb gayā
sitāre chhup ga.e gul kar dī raushnī maiñ ne
sivā.e dil mujhe dair-o-haram se kyā matlab
jagah huzūr ke milne kī DhūñD lī maiñ ne
jahāñ chalā diyā sāġhar kā daur ai vaa.iz
vahīñ pe gardish-e-ayyām rok dī maiñ ne
balā.eñ lene pe aap itne ho ga.e barham
huzūr kaun sī jāgīr chhīn lī maiñ ne
duā.eñ do mujhe dar dar junūñ meñ phir phir kar
tumhārī shohrateñ kar diiñ galī maiñ ne
javāb us kā to shāyad falak bhī de na sake
vo bandagī jo tirī rahguzar meñ kī maiñ ne
vo jaane kaise pata de ga.e the gulshan kā
na chhoḌā phuul na chhoḌī kalī kalī maiñ ne
'qamar' vo niiñd meñ the un ko kyā ḳhabar hogī
ki un pe shab ko luTā.ī hai chāñdnī maiñ ne