tujhe kyā nāsehā ahbāb ḳhud samjhā.e jaate haiñ
idhar tū khaa.e jaatā hai udhar vo khaa.e jaate haiñ
chaman vāloñ se jā kar ai nasīm-e-sub.h kah denā
asīrān-e-qafas ke aaj par kaTvā.e jaate haiñ
kahīñ beḌī aTaktī hai kahīñ zanjīr ulajhtī hai
baḌī mushkil se dīvāne tire dafnā.e jaate haiñ
unheñ ġhairoñ ke ghar dekhā hai aur inkār hai un ko
maiñ bāteñ pī rahā huuñ aur vo qasmeñ khaa.e jaate haiñ
ḳhudā mahfūz rakkhe nāla-hā-e-shām-e-furqat se
zamīñ bhī kāñptī hai āsmāñ tharrā.e jaate haiñ
koī dam ashk thamte hī nahīñ aisā bhī kyā ronā
'qamar' do-chār din kī baat hai vo aa.e jaate haiñ