agar chhūTā bhī us se ā.ina-ḳhāna to kyā hogā
vo uljhe hī raheñge zulf meñ shāna to kyā hogā
bhalā ahl-e-junūñ se tark vīrāna to kyā hogā
ḳhabar aa.egī un kī un kā ab aanā to kyā hogā
sune jaao jahāñ tak sun sako jab niiñd aa.egī
vahīñ ham chhoḌ deñge ḳhatm afsāna to kyā hogā
añdherī raat zindāñ paañv meñ zanjīr-e-tanhā.ī
is aalam meñ mar jā.egā dīvāna to kyā hogā
abhī to mutma.in ho zulm kā parda hai ḳhāmoshī
agar kuchh muñh se bol uThThā ye dīvāna to kyā hogā
janāb-e-shaiḳh ham to riñd haiñ chullū salāmat hai
jo tum ne toḌ bhī Daalā ye paimāna to kyā hogā
yahī hai gar ḳhushī to raat bhar ginte raho taare
'qamar' is chāñdnī meñ un kā ab aanā to kyā hogā