Mohan Singh Oberoi Deewana

talluqat ki duniya ka haal kya kahiye

Mohan Singh Oberoi Deewana

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1899-1984
ta.alluqāt kī duniyā kā haal kyā kahiye
ki marnā sahl hai jiinā muhāl kyā kahiye
unheñ jo rāziq-e-kul ko bhulā ke karte haiñ
gadāgarān-e-zamāñ se savāl kyā kahiye
adab kī mahfiloñ aur diin kī majālis meñ
na kaif-e-hāl na lutf-e-maqāl kyā kahiye
hasīn aaj utar aa.e husn-bāzī par
ye josh-o-tarz-e-numūd-e-jamāl kyā kahiye
harām ho ga.ī añgūr-o-jau kī saada kashīd
lahū ġharīb kā Thahrā halāl kyā kahiye
fasāna-sāzo haq-āmoz-o-jābir-o-rahmān
hai pur-tazād bashar kā kamāl kyā kahiye
bas ek naqsh hai charbe usī ke uThte haiñ
fasāna-hā-e-urūj-o-zavāl kyā kahiye
tamām chīzeñ haḌapne ke ba.ad bhī bhūkī
siyāsat aisī hai la.anat-ma.āl kyā kahiye
mizāj-e-dahr hai goyā mizāj aurat kā
abhī hai amn bhī jañg-o-jidāl kyā kahiye
tamām chīzeñ farāvāñ bhī haiñ garāñ bhī haiñ
hai ek sidq-o-sadāqat kā kaal kyā kahiye
adīb-o-nāqid-o-naqqāsh-o-ahl-e-raqs-o-ġhinā
chaleñ ḳhushī se hukūmat kī chaal kyā kahiye
Top Urdushayar.com