Qamar Jalalvi

karenge shikwa-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
kareñge shikva-e-jaur-o-jafā dil khol kar apnā
ki ye maidān-e-mahshar hai na ghar un kā na ghar apnā
makāñ dekhā kiye muḌ muḌ ke tā-hadd-e-nazar apnā
jo bas chaltā to le aate qafas meñ ghar kā ghar apnā
bahe jab aañkh se aañsū baḌhā soz-e-jigar apnā
hamesha meñh baraste meñ jalā kartā hai ghar apnā
pasīna ashk hasrat be-qarārī āḳhirī hichkī
ikaTThā kar rahā huuñ aaj sāmān-e-safar apnā
ye shab kā ḳhvāb yā-rab fasl-e-gul meñ sach na ho jaa.e
qafas ke sāmne jalte hue dekhā hai ghar apnā
dam-e-āḳhir ilāj-e-soz-e-ġham kahne kī bāteñ haiñ
mirā rasta na rokeñ rāsta leñ chāra-gar apnā
nishānāt-e-jabīñ josh-e-aqīdat ḳhud batā deñge
na pūchho mujh se sajde jā ke dekho sañg-e-dar apnā
javāb-e-ḳhat kā un ke sāmne kab hosh rahtā hai
batāte haiñ patā mere bajā.e nāma-bar apnā
mujhe ai qabr duniyā chain se rahne nahīñ detī
chalā aayā huuñ itnī baat par ghar chhoḌ kar apnā
shikan-ālūd bistar har shikan par ḳhuun ke dhabbe
ye hāl-e-shām-e-ġham likkhā hai ham ne tā-sahar apnā
yahī tīr-e-nazar to haiñ mire dil meñ hasīnoñ ke
jo pahchāno to lo pahchān lo tīr-e-nazar apnā
'qamar' un ko na aanā thā na aa.e sub.h hone tak
shab-e-va.ada sajāte hī rahe ghar raat bhar apnā
zamīñ mujh se munavvar āsmāñ raushan mire dam se
ḳhudā ke fazl se donoñ jagah qabza 'qamar' apnā
Top Urdushayar.com