tum apnī yaad se kah do na jaa.e chhoḌ ke dil
ki dard-e-hijr na rakh de kahīñ maroḌ ke dil
ab aap ke mire ghar tak qadam nahīñ aate
ye vo sazā hai diyā thā jo haath joḌ ke dil
ḳhudā rakhe abhī kamsin ho qadr kyā jaano
zarā sī der meñ rakh doge toḌ-phoḌ ke dil
liyā thā jaise usī tarah pher bhī dete
ye kyā ki pheñk diyā tum ne muñh sikoḌ ke dil
hamāre saath na dekhī bahār tāroñ kī
'qamar' chale ga.e vo chāñdnī meñ toḌ ke dil