Qamar Jalalvi

raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
rāz-e-dil kyuuñ na kahūñ sāmne dīvānoñ ke
ye to vo log haiñ apnoñ ke na begānoñ ke
vo bhī kyā daur the saaqī tire mastānoñ ke
rāste raah takā karte the mai-ḳhānoñ ke
bādaloñ par ye ishāre tire dīvānoñ ke
TukḌe pahuñche haiñ kahāñ uḌ ke garebānoñ ke
rāste band kiye dete ho dīvānoñ ke
Dher lag jā.eñge bastī meñ garebānoñ ke
na azaañ detā na hushiyār barahman hotā
dar to us shaiḳh ne khulvā.e haiñ but-ḳhānoñ ke
aap din-rāt sañvārā kareñ gesū to kyā
kahīñ hālāt badalte haiñ pareshānoñ ke
man.a kar girya-e-shabnam pe na ye phuul hañseñ
laale paḌ jā.eñge ai bād-e-sabā jānoñ ke
kyā zamāna thā udhar shaam idhar haath meñ jaam
sub.h tak daur chalā karte the paimānoñ ke
vo bhī kyā din the udhar shaam idhar haath meñ jaam
ab to raste bhī rahe yaad na mai-ḳhānoñ ke
aaj tak to mirī kashtī ne na paa.ī manzil
qāfile saiñkaḌoñ gum ho ga.e tūfānoñ ke
ḳhāk-e-sahrā pe lakīreñ haiñ unheñ phir dekho
kahīñ ye ḳhat na hoñ likkhe hue dīvānoñ ke
dekhiye charḳh pe taare bhī haiñ kyā be-tartīb
jaise bikhre hue TukḌe mire paimānoñ ke
haath ḳhālī haiñ magar mulk-e-adam kā hai safar
hausle dekhiye un be-sar-o-sāmānoñ ke
sar jhukā.e hue baiThe haiñ jo ka.abe meñ 'qamar'
aise hote haiñ nikāle hue but-ḳhānoñ ke
Top Urdushayar.com