Qamar Jalalvi

yun tumhaare na-tawan-e-shauq manzil bhar chale

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
yuuñ tumhāre nā-tavān-e-shauq manzil bhar chale
khaa.ī Thokar gir paḌe gir kar uThe uTh kar chale
chhoḌ kar bīmār ko ye kyā qayāmat kar chale
dam nikalne bhī na paayā aap apne ghar chale
ho gayā sayyād barham ai asīrān-e-qafas
band ab ye nāla-o-fariyād varna par chale
kis tarah tai kī hai manzil ishq kī ham ne na pūchh
thak ga.e jab paañv terā naam le le kar chale
aa rahe haiñ ashk āñkhoñ meñ ab ai saaqī na chheḌ
bas chhalakne kī kasar baaqī hai sāġhar bhar chale
jab bhī ḳhālī haath the aur ab bhī ḳhālī haath haiñ
le ke ham duniyā meñ kyā aa.e the kyā le kar chale
husn ko ġhamgīn dekhe ishq ye mumkin nahīñ
rok le ai sham.a aañsū ab patiñge mar chale
is taraf bhī ik nazar ham bhī khaḌe haiñ der se
māñgne vaale tumhāre dar se jholī bhar chale
ai 'qamar' shab ḳhatm hone ko hai chhoḌo intizār
sāhil-e-shab se sitāre bhī kināra kar chale
Top Urdushayar.com