balā se ho shaam kī siyāhī kahīñ to manzil mirī milegī
udhar añdhere meñ chal paḌūñgā jidhar mujhe raushnī milegī
hujūm-e-mahshar meñ kaisā milnā nazar-farebī baḌī milegī
kisī se sūrat tirī milegī kisī se sūrat mirī milegī
tumhārī furqat meñ tañg aa kar ye marne vāloñ kā faisla hai
qazā se jo ham-kanār hogā use na.ī zindagī milegī
qafas se jab chhuT ke jā.eñge ham to sab mileñge ba-juz-nasheman
chaman kā ek ek gul milegā chaman kī ik ik kalī milegī
tumhārī furqat meñ kyā milegā tumhāre milne se kiyā milegā
'qamar' ke hoñge hazār-hā ġham raqīb ko ik ḳhushī milegī