ye roz hashr kā aur shikva-e-vafā ke liye
ḳhudā ke sāmne to chup raho ḳhudā ke liye
ilāhī vaqt badal de mirī qazā ke liye
jo koste the vo baiThe haiñ ab duā ke liye
bhañvar se naav bache tere bas kī baat nahīñ
ḳhudā pe chhoḌ de ai nāḳhudā ḳhudā ke liye
hamāre vāste marnā to koī baat nahīñ
magar tumheñ na milegā koī vafā ke liye
hazār baar mile vo magar nasīb kī baat
kabhī zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye
koī zarūr hai dīdār-e-āḳhirī meñ naqāb
hazār vaqt paḌe haiñ tirī hayā ke liye
mujhe miTā to rahe ho ma.aal bhī socho
ḳhatā muaaf taras jāoge vafā ke liye
vo jaan kar mujhe tanhā mirī nahīñ sunte
kahāñ se lā.ūñ zamāne ko iltijā ke liye
mire jale hue tinkoñ kī garmiyāñ tauba
khulā huā hai garebān-e-gul havā ke liye
marīz kitnā thā ḳhuddār jaan tak de dī
magar zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye
vo ibtidā-e-mohabbat vo ehtiyāt-e-kalām
banā.e jaate the alfāz iltijā ke liye
zarā marīz-e-mohabbat ko tum bhī dekh aao
ki man.a karte haiñ ab chāragar davā ke liye
'qamar' nahīñ hai vafādār ḳhair yūñhī sahī
huzūr aur koī DhūñDh leñ vafā ke liye