sajde tire kahne se maiñ kar luuñ bhī to kyā ho
tū ai but-e-kāfir na ḳhudā hai na ḳhudā ho
ġhunche ke chaTakne pe na gulshan meñ ḳhafā ho
mumkin hai kisī TuuTe hue dil kī sadā ho
khā us kī qasam jo na tujhe dekh chukā ho
tere to farishtoñ se bhī va.ada na vafā ho
insāñ kisī fitrat pe to qaa.em ho kam-az-kam
achchhā ho to achchhā ho burā ho to burā ho
is hashr meñ kuchh daad na fariyād kisī kī
jo hashr ki zālim tire kūche se uThā ho
itrā ke ye raftār-e-javānī nahīñ achchhī
chaal aisī chalā karte haiñ jaisī ki havā ho
mai-ḳhāne meñ jab ham se faqīroñ ko na pūchhā
ye kahte hue chal diye saaqī kā bhalā ho
allāh-re o dushman-e-iz.hār-e-mohabbat
vo dard diyā hai jo kisī se na davā ho
tanhā vo mirī qabr pe haiñ chāk-garebāñ
jaise kisī sahrā meñ koī phuul khilā ho
mansūr se kahtī hai yahī dār-e-mohabbat
us kī ye sazā hai jo gunahgār-e-vafā ho
jab lutf ho allāh sitam vāloñ se pūchhe
tū yaas kī nazroñ se mujhe dekh rahā ho
farmāte haiñ vo sun ke shab-e-ġham kī shikāyat
kis ne ye kahā thā ki 'qamar' tum hameñ chāho