ba-juz tumhāre kisī se koī savāl nahīñ
ki jaise saare zamāne se bol-chāl nahīñ
ye sochtā huuñ ki tū kyuuñ nazar nahīñ aatā
mirī nigāh nahīñ yā tirā jamāl nahīñ
tajāhul apnī jafāoñ pe aur mahshar meñ
ḳhudā ke sāmne kahte ho tum ḳhayāl nahīñ
ye kah ke jalve se behosh ho ga.e muusā
nigāh us se milā.ūñ mirī majāl nahīñ
maiñ har bahār-e-gulistāñ pe ġhaur kartā huuñ
jalā na ho mirā ghar aisā koī saal nahīñ
ḳhatā muaaf ki sarkār muñh pe kahtā huuñ
baġhair ā.īna kah lo mirī misāl nahīñ
maiñ chāndnī meñ bulātā to huuñ vo kah deñge
'qamar' tumheñ mirī rusvā.ī kā ḳhayāl nahīñ