Fani Badayuni

ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
ye kis qayāmat kī bekasī hai zamīñ hī apnā na yaar merā
na ḳhātir-e-be-qarār merī na dīda-e-ashk-bār merā
nishān-e-turbat ayaañ nahīñ hai nahīñ ki baaqī nishāñ nahīñ hai
mazār merā kahāñ nahīñ hai kahīñ nahīñ hai mazār merā
visāl terā ḳhayāl terā jo ho to kyūñkar na ho to kyūñkar
na tujh pe kuchh iḳhtiyār dil kā na dil pe kuchh iḳhtiyār merā
nigāh-e-dil-doz kī duhā.ī jamāl-e-jāñ-soz kī duhā.ī
rah-e-mohabbat meñ ġham ne luuTā shakeb o sabr o qarār merā
maiñ dard-e-furqat se jāñ-ba-lab huuñ tumheñ yaqīn-e-vafā nahīñ hai
mujhe nahīñ e'tibār apnā tumheñ nahīñ e'tibār merā
qadam nikāl ab to ghar se bāhar jo dam bhī siine se sahl nikle
dikhā na ab intizār apnā lahad ko hai intizār merā
sunā hai uTThā hai ik bagūla jilau meñ kuchh āñdhiyoñ ko le kar
tavāf-e-dast-e-junūñ ko shāyad gayā hai 'fānī' ġhubār merā
Top Urdushayar.com