tum ko ham ḳhāk-nashīnoñ kā ḳhayāl aane tak
shahr to shahr badal jā.eñge vīrāne tak
dekhiye mahfil-e-sāqī kā natīja kyā ho
baat shīshe kī pahuñchne lagī paimāne tak
us jagah bazm saaqī ne biThāyā hai hameñ
haath phailā.eñ to jaatā nahīñ paimāne tak
sub.h hotī nahīñ ai ishq ye kaisī shab hai
qais o farhād ke dohrā liye afsāne tak
phir na tūfān uTheñge na giregī bijlī
ye havādis haiñ ġharīboñ hī ke miT jaane tak
maiñ ne har-chand balā Tālnī chāhī lekin
shaiḳh ne saath na chhoḌā mirā mai-ḳhāne tak
vo bhī kyā din the ki ghar se kahīñ jaate hī na the
aur ga.e bhī to faqat shaam ko mai-ḳhāne tak
maiñ vahāñ kaise haqīqat ko salāmat rakkhūñ
jis jagah radd-o-badal ho ga.e afsāne tak
bāġhbāñ fasl-e-bahār aane pe va.ada to qubūl
aur agar ham na rahe fasl-e-bahār aane tak
aur to kyā kahūñ ai shaiḳh tirī himmat par
koī kāfir hī gayā ho tire mai-ḳhāne tak
ai 'qamar' shaam kā va.ada hai vo aate hoñge
shaam kahlātī hai tāroñ ke nikal aane tak
ai qamar sub.h huī ab to uTho mahfil se
sham.a gul ho ga.ī ruḳhsat hue parvāne tak