Qamar Jalalvi

ab mujhe gulshan se kya jab zer-e-dam aa hi gaya

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
ab mujhe gulshan se kyā jab zer-e-dām aa hī gayā
ik nasheman thā so vo bijlī ke kaam aa hī gayā
sun ma.āl-e-soz-e-ulfat jab ye naam aa hī gayā
sham.a āḳhir jal-bujhī parvāna kaam aa hī gayā
tālib-e-dīdār kā isrār kaam aa hī gayā
sāmne koī ba-husn-e-intizām aa hī gayā
koshish-e-manzil se to achchhī rahī dīvāngī
chalte-phirte un se milne kā maqām aa hī gayā
rāz-e-ulfat marne vaale ne chhupāyā to bahut
dam nikalte vaqt lab par un kā naam aa hī gayā
kar diyā mash.hūr parde meñ tujhe zahmat na dī
aaj ko honā hamārā tere kaam aa hī gayā
jab uThā saaqī to vaa.iz kī na kuchh bhī chal sakī
merī qismat kī tarah gardish meñ jaam aa hī gayā
husn ko bhī ishq kī zid rakhnī paḌtī hai kabhī
tuur par muusā se milne kā payām aa hī gayā
der tak bāb-e-haram par ruk ke ik majbūr-e-ishq
sū-e-but-ḳhāna ḳhudā kā le ke naam aa hī gayā
raat bhar māñgī duā un ke na jaane kī 'qamar'
sub.h kā taara magar le kar payām aa hī gayā
Top Urdushayar.com