Qamar Jalalvi

sawal chhoD ki haalat ye kyun banai hai

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
savāl chhoḌ ki hālat ye kyuuñ banā.ī hai
use na sun jo kahānī sunī-sunā.ī hai
patañgā sham.a pe martā hai kyā burā.ī hai
use kisī ne bhī rokā hai jis kī aa.ī hai
hañse haiñ gul na kalī koī muskurā.ī hai
huzūr kaise ye kah duuñ bahār aa.ī hai
zarūr koī alāmat qazā kī paa.ī hai
mujhe azīzoñ ne sūrat tirī dikhā.ī hai
na jaane hijr kī raat aur mirī siyah-baḳhtī
kahāñ kahāñ ke añdhere sameT laa.ī hai
lahad se kab uTheñ dekho musāfirān-e-adam
safar hai duur kā raste meñ niiñd aa.ī hai
asiir kyā kaheñ sayyād ye to samjhā de
qafas meñ bū-e-chaman pūchhne ko aa.ī hai
mujhe na chheḌ qayāmat hai merī aahoñ meñ
ḳhudā rakhe tirī mahfil sajī-sajā.ī hai
Top Urdushayar.com