Qamar Jalalvi

un ke jate hi ye wahshat ka asar dekha kiye

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
un ke jaate hī ye vahshat kā asar dekhā kiye
sū-e-dar dekhā to pahroñ sū-e-dar dekhā kiye
dil ko vo kyā dekhte soz-e-jigar dekhā kiye
lag rahī thī aag jis ghar meñ vo ghar dekhā kiye
un kī mahfil meñ unheñ sab raat bhar dekhā kiye
ek ham hī the ki ik ik kī nazar dekhā kiye
tum sirhāne se ghaḌī bhar ke liye muñh pher lo
dam na niklegā mirī sūrat agar dekhā kiye
maiñ kuchh is hālat se un ke sāmne pahuñchā ki vo
go mirī sūrat se nafrat thī magar dekhā kiye
fā.eda kyā aisī shirkat se adū kī bazm meñ
tum udhar dekhā kiye aur ham udhar dekhā kiye
shaam se ye thī tire bīmār kī hālat ki log
raat bhar uTh uTh ke āsār-e-sahar dekhā kiye
bas hī kyā thā be-zabāñ kahte bhī kyā sayyād se
yaas kī nazroñ se muḌ kar apnā ghar dekhā kiye
maut aa kar sāmne se le ga.ī bīmār ko
dekhiye chāragaroñ ko chāra-gar dekhā kiye
raat bhar taḌpā kiyā hai dard-e-furqat se 'qamar'
pūchh lo tāroñ se taare raat bhar dekhā kiye
Top Urdushayar.com