Qamar Jalalvi

kisi ka nam lo be-nam afsane bahut se hain

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
kisī kā naam lo be-nām afsāne bahut se haiñ
na jaane kis ko tum kahte ho dīvāne bahut se haiñ
jafāoñ ke gale tum se ḳhudā jaane bahut se haiñ
magar mahshar kā din hai apne begāne bahut se haiñ
banā.e de rahī haiñ ajnabī nādāriyāñ mujh ko
tirī mahfil meñ varna jāne-pahchāne bahut se haiñ
dharī rah jā.egī pābandī-e-zindāñ jo ab chheḌā
ye darbānoñ ko samjhā do ki dīvāne bahut se haiñ
bas ab so jaao niiñd āñkhoñ meñ hai kal phir sunā.eñge
zarā sī rah ga.ī hai raat afsāne bahut se haiñ
tumheñ kis ne bulāyā mai-kashoñ se ye na kah saaqī
tabī.at mil ga.ī hai varna maiḳhāne bahut se haiñ
baḌī qurbāniyoñ ke ba.ad rahnā baaġh meñ hogā
abhī to āshiyāñ bijlī se jalvāne bahut se haiñ
likhī hai ḳhaak uḌānī hī agar apne muqaddar meñ
tire kūche pe kyā mauqūf vīrāne bahut se haiñ
na ro ai sham.a maujūda patañgoñ kī musībat par
abhī mahfil se bāhar tere parvāne bahut se haiñ
mire kahne se hogī tark-e-rasm-o-rāh ġhairoñ se
bajā hai aap ne kahne mire maane bahut se haiñ
'qamar' allāh saath īmān ke manzil pe pahuñchā de
haram kī raah meñ sunte haiñ but-ḳhāne bahut se haiñ
Top Urdushayar.com