Qamar Jalalvi

karte bhi kya huzur na jab apne ghar mile

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
karte bhī kyā huzūr na jab apne ghar mile
dushman se ham kabhī na mile the magar mile
bulbul pe aisī barq girī āñdhiyoñ ke saath
ghar kā pata chalā na kahīñ bāl-o-par mile
un se hameñ nigāh-e-karam kī umiid kyā
āñkheñ nikāl leñ jo nazar se nazar mile
vaada ġhalat pate bhī batā.e hue ġhalat
tum apne ghar mile na raqīboñ ke ghar mile
afsos hai yahī mujhe fasl-e-bahār meñ
merā chaman ho aur mujhī ko na ghar mile
chāroñ taraf hai sham-e-mohabbat kī raushnī
parvāne DhūñD DhūñD ke laa.ī jidhar mile
Top Urdushayar.com