saañs un ke marīz-e-hasrat kī ruk ruk ke chaltī jaatī hai
māyūs nazar hai dar kī taraf aur jaan nikaltī jaatī hai
chehre se saraktī jaatī hai zulf un kī ḳhvāb ke aalam meñ
vo haiñ ki abhī tak hosh nahīñ aur shab hai ki Dhaltī jaatī hai
allāh ḳhabar bijlī ko na ho gulchīñ kī nigāh-e-bad na paḌe
jis shāḳh pe tinke rakkhe haiñ vo phūltī-phaltī jaatī hai
aariz pe numāyāñ ḳhaal hue phir sabza-e-ḳhat āġhāz huā
qur.āñ to haqīqat meñ hai vahī tafsīr badaltī jaatī hai
tauhīn-e-mohabbat bhī na rahī vo jaur-o-sitam bhī chhūT ga.e
pahle kī ba-nisbat husn kī ab har baat badaltī jaatī hai
laaj apnī masīhā ne rakh lī marne na diyā bīmāroñ ko
jo maut na Talne vaalī thī vo maut bhī Taltī jaatī hai
hai bazm-e-jahāñ meñ nā-mumkin be-ishq salāmat husn rahe
parvāne to jal kar ḳhaak hue ab sham.a bhī jaltī jaatī hai
shikva bhī agar maiñ kartā huuñ to jaur-e-falak kā kartā huuñ
be-vaj.h 'qamar' tāroñ kī nazar kyuuñ mujh se badaltī jaatī hai