bāġh-e-ālam meñ rahe shādī-o-mātam kī tarah
phuul kī tarah hañse ro diye shabnam kī tarah
shikva karte ho ḳhushī tum se manā.ī na ga.ī
ham se ġham bhī to manāyā na gayā ġham kī tarah
roz mahfil se uThāte ho to dil dukhtā hai
ab nikalvāo to phir hazrat-e-ādam kī tarah
laakh ham riñd sahī hazrat-e-vā.iz lekin
aaj tak ham ne na pī qibla-e-ālam kī tarah
tere andāz-e-jarāhat ke nisār ai qātil
ḳhuun zaḳhmoñ pe nazar aatā hai marham kī tarah
ḳhauf dil se na gayā sub.h ke hone kā 'qamar'
vasl kī raat guzārī hai shab-e-ġham kī tarah