ḳhatm shab qissa-e-muḳhtasar na huī
sham.a gul ho ga.ī sahar na huī
rū-e-shabnam jalā jo ghar merā
phuul kī kam hañsī magar na huī
hashr meñ bhī vo kyā mileñge hameñ
jab mulāqāt umr-bhar na huī
ā.īna dekh kar ye kījiye shukr
aap ko aap kī nazar na huī
sab the mahfil meñ un kī mahv-e-jamāl
ek ko ek kī ḳhabar na huī
saiñkaḌoñ raat ke kiye va.ade
un kī raat aaj tak 'qamar' na huī