kahāniyāñ bhī ga.iiñ qissa-ḳhvāniyāñ bhī ga.iiñ
vafā ke baab kī sab be-zabāniyāñ bhī ga.iiñ
vo bāzyābī-e-ġham kī sabīl bhī na rahī
luTā yuuñ dil ki sabhī be-sabātiyāñ bhī ga.iiñ
havā chalī to hare patte suukh kar TuuTe
jo sub.h aa.ī to hīrā-numā.iyāñ bhī ga.iiñ
vo merā chehra mujhe aa.ine meñ apnā lage
isī talab meñ badan kī nishāniyāñ bhī ga.iiñ
palaT palaT ke tumheñ dekhā par mile bhī nahīñ
vo ahd-e-zabt bhī TuuTā shitābiyāñ bhī ga.iiñ
mujhe to aañkh jhapaknā bhī thā girāñ lekin
dil o nazar kī tasavvur-shiāriyāñ bhī ga.iiñ