sañg-e-dar dekh ke sar yaad aayā
koī dīvāna magar yaad aayā
phir vo andāz-e-nazar yaad aayā
chāk-e-dil tā-ba jigar yaad aayā
zauq-e-arbāb-e-nazar yaad aayā
sajda be-minnat-e-sar yaad aayā
har tabassum pe ye khātā huuñ fareb
ki unheñ dīda-e-tar yaad aayā
phir tirā naqsh-e-qadam hai darkār
sajda-e-rāhguzar yaad aayā
jamā kartā huuñ ġhubār-e-rah-e-dost
sar-e-shorīda magar yaad aayā
haa.e vo mārka-e-nāvak-e-nāz
dil bachāyā to jigar yaad aayā
ā.īna ab nahīñ dekhā jaatā
maiñ ba-unvān-e-digar yaad aayā
dard ko phir hai mire dil kī talāsh
ḳhāna-barbād ko ghar yaad aayā
us ko bhūle to hue ho 'fānī'
kyā karoge vo agar yaad aayā