Qamar Jalalvi

surKHiyan kyun DhunDh kar laun fasane ke liye

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
surḳhiyāñ kyuuñ DhūñDh kar lā.ūñ fasāne ke liye
bas tumhārā naam kaafī hai zamāne ke liye
maujeñ sāhil se haTātī haiñ habāboñ kā hujūm
vo chale aa.e haiñ sāhil par nahāne ke liye
sochtā huuñ ab kahīñ bijlī girī to kyuuñ girī
tinke laayā thā kahāñ se āshiyāne ke liye
chhoḌ kar bastī ye dīvāne kahāñ se aa ga.e
dasht kī baiThī-bi.Thā.ī ḳhaak uḌāne ke liye
hañs ke kahte ho zamāna bhar mujhī par jaan de
rah ga.e ho kyā tumhīñ saare zamāne ke liye
shaam ko aaoge tum achchhā abhī hotī hai shaam
gesuoñ ko khol do sūraj chhupāne ke liye
kā.enāt-e-ishq ik dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
vo hī aane ke liye hai vo hī jaane ke liye
ai zamāne bhar ko ḳhushiyāñ dene vaale ye batā
kyā 'qamar' hī rah gayā hai ġham uThāne ke liye
Top Urdushayar.com